JAB TU NAZAR AATI HAI...........
Jab Tu Nazar Aati hai, Masti Mein Chalti Hai Hawa,
Teri Chunari Key Sang, Pyaar Key Rang Mein Rang Jaati Hai Hawa,
Bhini-Bhini,Meethi-Meethi, Hauley-Hauley Chalti Hai Hawa,
Jab Tu Nazar Aati Hai, Behaki Bahaki Si Lagati Hai Hawa,
Nadiyan-Saagar, Des-Pardes, Parwat-Parwat Behati Rehati Hai Hawa,
Jab Tu Nazar Aati Hai, Tere Pehalu Mein Panah Leti Hai Hawa,
Sangeet Key Sapt Suron Mein, Bansuri Key Har Dhun Mein Hai Hawa,
Jab Tu Nazar Aati Hai, Teri Sanso Ki Mehak Ban Jaati Hai Hawa,
Jeevan Ki Jarurat, Prakriti Ka Vardan Hai Hawa,
Jab Tu Najar Aati Hai, Tujhe Chhune Ko Bekarar Ho Jaati Hai Hawa,
Mausam Key Har Rang Mein, Dharti Sey Neeley Ambar Tak Har Taraf Hai Hawa,
Jab Tu Nazar Aati Hai, Ghumad-Ghumad Kaari Badariya Ban Tera Tan Badan Bhigo Jaati Hai Hawa,
Jab Tu Nazar Aati hai, Masti Mein Chalti Hai Hawa,
Teri Chunari Key Sang, Pyaar Key Rang Mein Rang Jaati Hai Hawa,

Recommend
votes